Wednesday, June 2, 2010

Pal...

Zindagi guzar rahi thi inhi lamho main..
Gujarte hue lamhe ne kaano main kuch kaha..
Umeedo ke shor main ne mujhe sun ne na diya..
Main sochta raha ki woh kya keh raha tha..
Usi soch mai maine apna rasta badal diya..
Jab aage jake woh rasta kahi na gaya..
Tab mujhe ahsaas hua ke lamha keh raha tha..
Yahi tumhari manzil hai.